Ajnabi shehar k ajnabi raste
Meri tanhai par muskurate rahe
Mein buhat der tak younhi chalta raha
Tum buhat der tak yaad aate rahe
Kal kuch aisa hua mein buhat thakk gaya
Is liey sun K B un suni kar gaya
Kitne yaadon K bhatke huye karwaan
Dil K zakhmon ka dar khat khtate rahe
Zakham jab B koi zehn-o-dil pe laga
Zindagi ki taraf ik dreecha khula
Hum B goya kisi saaz ki tarah
Zakham khate rahe,muskurate rahe
Zehr milta raha,zehr peete rahe
Roz marte rahe,roz jeete rahe
Mout B hamein azmati rahi
Aur hum B use azmate rahe
Ajnabi shehar k ajnabi raste
Meri tanhai par muskurate rahe
Mein buhat der tak younhi chalta raha
Tum buhat der tak yaad aate rahe
Meri tanhai par muskurate rahe
Mein buhat der tak younhi chalta raha
Tum buhat der tak yaad aate rahe
Kal kuch aisa hua mein buhat thakk gaya
Is liey sun K B un suni kar gaya
Kitne yaadon K bhatke huye karwaan
Dil K zakhmon ka dar khat khtate rahe
Zakham jab B koi zehn-o-dil pe laga
Zindagi ki taraf ik dreecha khula
Hum B goya kisi saaz ki tarah
Zakham khate rahe,muskurate rahe
Zehr milta raha,zehr peete rahe
Roz marte rahe,roz jeete rahe
Mout B hamein azmati rahi
Aur hum B use azmate rahe
Ajnabi shehar k ajnabi raste
Meri tanhai par muskurate rahe
Mein buhat der tak younhi chalta raha
Tum buhat der tak yaad aate rahe
No comments:
Post a Comment