Saturday 14 May 2011

Kisi ke kam na aaye wo zindagi kya hai


Kisi ke kam na aaye wo zindagi kya hai,
Adab jisme na ho shamil wo bandagi kya hai !
Mahaj tarkon se dalilon sey bat banti nahi,
Wazan jisme na shagufta wo bat hi kya hai !
Unche mahalon me guzar karte hai jehan roshan,
WO kya samjhege muflishon ki muflishi kya hai !
Sukhe adhnange badan fakon ko majboor hai Jo,
Gaor se socho jara e bhi zindagi kya hai !
Mauj masti ko honge dost hajaron lekin,
Bure din me na aaye kam wo dosti kya hai !
Kare Jo darj apana nam nahi safahon me,
Makam jiska martaba na wo hasti kya hai !
Aman aur chain shakun ka jaha na dera ho,
Basera khaak hai "Saqi" wo basti kya hai !!

No comments:

Post a Comment